Bhool Nahi Paati Hoon Main
Posted by
(This is a very very special poem. My maternal granma who now resides in UK and terribly misses her hometown and her family-is a wonderful poet- wrote this for my mom...it brought tears to my eyes the first time i read it..its a striking expression of nostalgia and a trajectory of a life)
Bhool nahi paati hoon main
apne desh ke khet khalihano ko
hariaale chaye bagaano ko
ganga kee nirmal dhara koo
banaras ke kashish nazaro ko
bhool nahi paati hoo mein
saagar ke mast hiloron ko
mele mein lage hindolo ko
holi, teej diwali ko
ugte sooraj ki laalee ko
bhool nahi paati hoon mein
apne ganno kee galion ko
tioharon kee rung ralion ko
chooran kee khatti goli ko
sakhion kee bholi toli
mamta kee meethi lori ko
gaanv kee alhadh gori ko
bhool nahi paati hoon main
saawan kee mast ghataon ko
peepal kee thandi chhanv ko
panghat par baithee gori ko
gunney kee meethi pori ko
bhool nahi paati hoon main
babul ke piarey aangan ko
sasural ke pahle saawan ko
bachpan kee meethi ladhaeeon ko
bichdhe hue bahen aur baheeon ko
bhool nahi paati hoon mein
chourahe ke golguppon ko
buso mein khae dhakko ko
daria ke meethe paani ko
sakhion kee preet purani woh
bhool nahi paati hoo main
yauvan kee piaree yaadon ko
kiye gaye un vaadon ko
woh choodhion bhari kalaiee ko
us pyaar kee gehraee ko
jo sapne peeche choot gaye
lagta hai mujhse rooth gaye
bhool nahi paati hoon main
Do sunder pyaree aankho ko
jo rasta mera takti hain
kabhee roti hain kabhee hansti hain
kabhee mujhko paas bulaati hain
phir neend se main jug jaati hoon
burbus aawaz lagaati hoon
maayoos na hona bitia meri
yaad mujhe bhee bahut aati hai teri..