Zindagi

Posted by Hina

Na badli hai ...Na badlegi
Na jhuki hai ...Na jhukegi
Hai aisi ik railgadi duniya yeh
Jo na ruki hai ....Na rukegi

Ise toh chalna hai
Ise toh badna hai
Befiqr kaun aya hai
Befiqr kise jana hai...

Bandhe hai jaise samay ke jaal mein
Ruke hai jaise ek intezaar mein
Jo khatm ho kar bhi khatm nahi hota
Vaise hi is anant sansar mein

Zakhm yeh de toh jati hai
Zakh par bhar nahi jati
Zindagi woh sikhati hai
Jo maut sikha nahi pati

Sikhati hai yeh jana paar us oonche padav ke
Saamne aate hi jiske maut ghutne tek deti hai
Zindagi humein us aasma ke par jana bhi sikhati hai..

Uljha deti hai yeh
Par sabki zaroorat hai
Jaisi bhi ho par
yeh zindagi khubsoorat hai...

Toh jaagna har subah, khushi ki us kiran ke saath
Jo 'gar roshan karti hai, un chup chap lamho ko
Doobna use bhi hai raat ke un andhero mein
Chodna mat magar tum is dar se zindagi ko jeene ko...

0 comments:

Post a Comment